बुधवार, 24 अप्रैल 2013

Nivesh

abhi kal he baat hue hai so un baaton ka khumaar , saari baatein sary vakiye phir aankho k samny hai jo kam sy kam 6-8 din saath rahengy..........................par "aastha" par nivesh aur rozz ki "prarthna" par iska koi asar nahi aany dungi..........
Rishtey, rishtey ,meri "aastha" n mery "ansh" ko to aap pahly he apny "swarth" ki bali chadha chuky the par phir bhi mera apni aastha par nivesh jaari raha par ab aankho mein sunhary kal k khayab nahi tarty bahut bechen aur paresha hony par bhi apny "ansh" ko dekhny k liye pair nahi badhty sach aapki upksha mari apekshaao ko kha gai aapka swarth meri kwahisho ko nigal gaya.......

parichay..................

mare apny aajkal meri bahut khabar rakhty hai..............khud k hony ka hisaab dety hai aur puchty hai "main kaha hu"............samay k saath shayad prashan badal gaye hai! par ab main jaha hu vaha sy khud main khud ko dekh nahi pati par jaha bhi hu vaha koi mujhsy roz mera "parichay" nahi puchta aur na hi koi mujhe mera parichay batata.......