बुधवार, 21 अगस्त 2013

Alzimar..............

 kabhi-kabhi lagta hai is akelepan ki taraf peeth kar lu, hata du esy apny shareer or aatma sy khurah-khursh kar par! yahi to takat hai meri jo mujhe ab tak "alzimar" sy bachaye hue hai varna tumhari tarah main bhi sub kuch bhool jai? to chalo main phir lout aati hu apny parichit saathi akelepan k pass jo mera saath kabhi nahi chorta................... 

मंगलवार, 20 अगस्त 2013

Raakhi.............

kal raakhi hai..........man phir dravit ho utha, pichly 4 saalo sy tumhein raakhi nahi baandhi hai ye baat man ko bahut saalti hai............tum har banhan sy mukt ho apna ek naya sansaar banana chahaty the apne "niji sambandho" ko ek naya aayam dena chahaty thy , ye janty hue ki tumhari zindagi main 'main" kuch nahi to kesy aati tumhari khushiyo k beech to hat gayee tumhary "pavitra rishto" k liye, door ho gaye tumhari banai hui duniya sy..............

par in 4 saalo main roz ek ummed hoti ki aaj tum call karoge or kahogy ki 'ha tum sahi thi or main galat" par janti thi esa nahi hoga kyun ki tum bahut aagy badh gaye the/ho.........tumhary sambandh apni maryadaye tod chuky thy to kesy sahan kar pati,tumhein galat raah par jaty hue kesy dekh pati khair tumhari khushiyo k liye main ye bhi kiya,peeche hat gayee....................

khair tum jab bhi thak jaao ,to bas 1 baar pahly ki tarah pukaar lena...............main wahi khadi hu jaha tumny mera haath chore aagey badh thy.........................main saath chal padungi...................
                HAPPY RAKHA BANDHAN BHAI.................

मंगलवार, 6 अगस्त 2013

sun na , bolna , prarthna, dena , batna , visvaas ,maafi, vada ,aanad or jawab- ye 10 madhyam hai har rishtey ke.................par tum na mari baat sun paaye or na kabhi kuch bol paye...............bus majburiyo ka labada odhy rahy............or lipt rahy apni aadato main ..............sach hai aadato main kabhi jung nahi lagti.....................

photo.......................