सोमवार, 20 मई 2013

sambandho ka samikaran................

Apny banaye sambandho ky samikaran ky aagan main,main aaj akeli hu........kabhi mery aas-pass mela laga karta or aaj tanha hu saari cahel-pahal gayab hai! yaha aa gai hu ya u samgho nikali gayi hu.........rishte sunnay main kitny acche n sacchy lagty hai na? par unhein nibhana sahejana utna hi mushkil hai....rishtey chahy khun k ho ya aatma k unky prati emandari or paardarshita rakhna sahi hota hai.......paardarshi isliye ki sambandho ki satah saaf dikhe or emandari isliye ki sambandh suljhe hue rahy.ek nayi shuruaat ho rahi hai rishto ki ,janti hu ab koi rishta nahi bana/nibha paungi saari dhundh hat gai hai...mujhe to abhi tak saath rahkar sambandho ki jady khodany waly hi mily hai..........so nahi ab or koi rishta nahi?

कोई टिप्पणी नहीं: