मंगलवार, 6 अगस्त 2013

sun na , bolna , prarthna, dena , batna , visvaas ,maafi, vada ,aanad or jawab- ye 10 madhyam hai har rishtey ke.................par tum na mari baat sun paaye or na kabhi kuch bol paye...............bus majburiyo ka labada odhy rahy............or lipt rahy apni aadato main ..............sach hai aadato main kabhi jung nahi lagti.....................

photo.......................

रविवार, 14 जुलाई 2013

Anuttarit prashn...........

Anuttarit prashno k saath jeena bada kathin hai.....gahy bagahy wo har kabhi samny aakar khady ho jaty hai......24 ganty subah sham har samay wo saath hoty hai..... 
       Mainy unhein kadi dhup main rakha ki wo tej aanch main jal jaye unhein seelan bhary kamrey main rakha ki unhein deemak lag jaye par wo ab bhi jas k tas hai........ab main unhein tumahry dar par chor aai hu par shayad tumsy jawab na pakar ye prashn phir wapas aa gaye hai.............mery paas............

गुरुवार, 20 जून 2013

मंगलवार, 18 जून 2013

zinagi..........

mainy zinagi ko bahut kareeb sy dekha hai, isky rango ko roj udtay hue dekha hai.......
pyaar main duby huo ko roz apno ki bali chadaty hue dekha hai.........
mainy zindagi ko bahut kareeb sy dekha hai or jisy maana tha bhagvaan usy  insaan banty hue dekha hai..............insaan banty hue dekha hai..............

शुक्रवार, 14 जून 2013

गुरुवार, 13 जून 2013

shikhar..........

Tum befikar rahna mujhe tumsy kuch nahi chahiye bus tumhara shikhar par naam chahiye...na dhyan na maan na tumsay baat karny ka adhikaar chahiye bus tumhaara shirsh par naam chahiye.........na zindagi main tumhari apni jagah na tum me apni ginti chahiye mujhe sirf or sirf tumhara uchaiyo par naam chahiye......so befikar rahna?