मंगलवार, 10 सितंबर 2013

http://jyotikashive.blogspot.com

Naya job, man lagany ka bharpoor prayas kar rahi hu/thi par yaha bhi vahi baat samny aai.........."Emaandari" mat dikhao............logo ko unki galtiya mat dikhao! khud ko kesy badlu?..........samajh nahi aata par yadi emaandaar na rahu to khud ko jawab kesy du..............kya job chor du?
 Mera haal to "satyakaam" moovi k dharmendra ki tarah ho raha hai............par vo to film thi..........par main? kya main bhi kho jaau in jhooty logo main , aagy badhny k liye ya khud ko ayogya manty hue sab chor du............apna job apna passion?............................   

बुधवार, 21 अगस्त 2013

Alzimar..............

 kabhi-kabhi lagta hai is akelepan ki taraf peeth kar lu, hata du esy apny shareer or aatma sy khurah-khursh kar par! yahi to takat hai meri jo mujhe ab tak "alzimar" sy bachaye hue hai varna tumhari tarah main bhi sub kuch bhool jai? to chalo main phir lout aati hu apny parichit saathi akelepan k pass jo mera saath kabhi nahi chorta................... 

मंगलवार, 20 अगस्त 2013

Raakhi.............

kal raakhi hai..........man phir dravit ho utha, pichly 4 saalo sy tumhein raakhi nahi baandhi hai ye baat man ko bahut saalti hai............tum har banhan sy mukt ho apna ek naya sansaar banana chahaty the apne "niji sambandho" ko ek naya aayam dena chahaty thy , ye janty hue ki tumhari zindagi main 'main" kuch nahi to kesy aati tumhari khushiyo k beech to hat gayee tumhary "pavitra rishto" k liye, door ho gaye tumhari banai hui duniya sy..............

par in 4 saalo main roz ek ummed hoti ki aaj tum call karoge or kahogy ki 'ha tum sahi thi or main galat" par janti thi esa nahi hoga kyun ki tum bahut aagy badh gaye the/ho.........tumhary sambandh apni maryadaye tod chuky thy to kesy sahan kar pati,tumhein galat raah par jaty hue kesy dekh pati khair tumhari khushiyo k liye main ye bhi kiya,peeche hat gayee....................

khair tum jab bhi thak jaao ,to bas 1 baar pahly ki tarah pukaar lena...............main wahi khadi hu jaha tumny mera haath chore aagey badh thy.........................main saath chal padungi...................
                HAPPY RAKHA BANDHAN BHAI.................

मंगलवार, 6 अगस्त 2013

sun na , bolna , prarthna, dena , batna , visvaas ,maafi, vada ,aanad or jawab- ye 10 madhyam hai har rishtey ke.................par tum na mari baat sun paaye or na kabhi kuch bol paye...............bus majburiyo ka labada odhy rahy............or lipt rahy apni aadato main ..............sach hai aadato main kabhi jung nahi lagti.....................

photo.......................

रविवार, 14 जुलाई 2013

Anuttarit prashn...........

Anuttarit prashno k saath jeena bada kathin hai.....gahy bagahy wo har kabhi samny aakar khady ho jaty hai......24 ganty subah sham har samay wo saath hoty hai..... 
       Mainy unhein kadi dhup main rakha ki wo tej aanch main jal jaye unhein seelan bhary kamrey main rakha ki unhein deemak lag jaye par wo ab bhi jas k tas hai........ab main unhein tumahry dar par chor aai hu par shayad tumsy jawab na pakar ye prashn phir wapas aa gaye hai.............mery paas............

गुरुवार, 20 जून 2013

मंगलवार, 18 जून 2013

zinagi..........

mainy zinagi ko bahut kareeb sy dekha hai, isky rango ko roj udtay hue dekha hai.......
pyaar main duby huo ko roz apno ki bali chadaty hue dekha hai.........
mainy zindagi ko bahut kareeb sy dekha hai or jisy maana tha bhagvaan usy  insaan banty hue dekha hai..............insaan banty hue dekha hai..............

शुक्रवार, 14 जून 2013

गुरुवार, 13 जून 2013

shikhar..........

Tum befikar rahna mujhe tumsy kuch nahi chahiye bus tumhara shikhar par naam chahiye...na dhyan na maan na tumsay baat karny ka adhikaar chahiye bus tumhaara shirsh par naam chahiye.........na zindagi main tumhari apni jagah na tum me apni ginti chahiye mujhe sirf or sirf tumhara uchaiyo par naam chahiye......so befikar rahna? 

गुरुवार, 30 मई 2013

SULAH

SOCHTI HU KHUD SY SULAH KAR LU OR JEENA SEEKH LU AAKHIR KAB TAK GHUT TI RAHUNGI OR ANUTAARIT PRASHANO K JAWAB KHUD KO DETI RAHUNGI ?
SOCHTI U KI AB MAAN JAU JO "TUMNY KAHA" TUMHARY PRATI APNI "AASTHA" KO KONY MAIN EK TARAF RAKH MAAN LU JO "TUMNY KIYA" AAKHIR KAB TAK MAN KO BAHLATI RAHUNGI!
SHAYAD YE MAANNY K BAAD JEENA SARAL HO JAYE IS SEELN BHARE KAMRY MAIN TAAZI HAWA OR ROSHNI KI EK KIRAN AAYE ? TO CHALO MAIN MAAN LETI HU KI "MAIN TUMHARI KI NAHI"______KUCH BHI NAHI!

सोमवार, 20 मई 2013

sambandho ka samikaran................

Apny banaye sambandho ky samikaran ky aagan main,main aaj akeli hu........kabhi mery aas-pass mela laga karta or aaj tanha hu saari cahel-pahal gayab hai! yaha aa gai hu ya u samgho nikali gayi hu.........rishte sunnay main kitny acche n sacchy lagty hai na? par unhein nibhana sahejana utna hi mushkil hai....rishtey chahy khun k ho ya aatma k unky prati emandari or paardarshita rakhna sahi hota hai.......paardarshi isliye ki sambandho ki satah saaf dikhe or emandari isliye ki sambandh suljhe hue rahy.ek nayi shuruaat ho rahi hai rishto ki ,janti hu ab koi rishta nahi bana/nibha paungi saari dhundh hat gai hai...mujhe to abhi tak saath rahkar sambandho ki jady khodany waly hi mily hai..........so nahi ab or koi rishta nahi?

बुधवार, 24 अप्रैल 2013

Nivesh

abhi kal he baat hue hai so un baaton ka khumaar , saari baatein sary vakiye phir aankho k samny hai jo kam sy kam 6-8 din saath rahengy..........................par "aastha" par nivesh aur rozz ki "prarthna" par iska koi asar nahi aany dungi..........
Rishtey, rishtey ,meri "aastha" n mery "ansh" ko to aap pahly he apny "swarth" ki bali chadha chuky the par phir bhi mera apni aastha par nivesh jaari raha par ab aankho mein sunhary kal k khayab nahi tarty bahut bechen aur paresha hony par bhi apny "ansh" ko dekhny k liye pair nahi badhty sach aapki upksha mari apekshaao ko kha gai aapka swarth meri kwahisho ko nigal gaya.......

parichay..................

mare apny aajkal meri bahut khabar rakhty hai..............khud k hony ka hisaab dety hai aur puchty hai "main kaha hu"............samay k saath shayad prashan badal gaye hai! par ab main jaha hu vaha sy khud main khud ko dekh nahi pati par jaha bhi hu vaha koi mujhsy roz mera "parichay" nahi puchta aur na hi koi mujhe mera parichay batata.......

बुधवार, 20 मार्च 2013

Taarikh..........

Aaj  "madhurima " main prakashit kahani "vah khaas din" padh laga jesy wo hamari apni hai ,mujhy bhi aap say apny ansh(center) sy judi har baat chahy wo aap sy judi khushiya ho ya mery ansh ka ya center par aai choti choti cheeze ya aapki din pratidin ki uplabdhiyan hamesha sab yad hota par aap k liye wo sab comman baatein hoti ya mazak ki...............main choti-choti baato main khush hona chahati par wo choti baatein aap k liye aur bhi choti hoti main apne hisse ki chaav chahati par aap ye kahkar peeche hat jate ki "mainne to nahi kaha tumsy ye sab karny ko "...............khir kahani main "anu" k jane k baad "aniket" samjhty hai "taarikhko ko yad rakhna" par kya aap kabhi samjhege........................? tareekho ka taana baana

बुधवार, 13 मार्च 2013

kiski Bali

is kadar pyarr main dubaa hua tha wo
           ki mujhy daav par lagany ka jara sa ranj use na huaa...............