रविवार, 14 जुलाई 2013

Anuttarit prashn...........

Anuttarit prashno k saath jeena bada kathin hai.....gahy bagahy wo har kabhi samny aakar khady ho jaty hai......24 ganty subah sham har samay wo saath hoty hai..... 
       Mainy unhein kadi dhup main rakha ki wo tej aanch main jal jaye unhein seelan bhary kamrey main rakha ki unhein deemak lag jaye par wo ab bhi jas k tas hai........ab main unhein tumahry dar par chor aai hu par shayad tumsy jawab na pakar ye prashn phir wapas aa gaye hai.............mery paas............

गुरुवार, 20 जून 2013

मंगलवार, 18 जून 2013

zinagi..........

mainy zinagi ko bahut kareeb sy dekha hai, isky rango ko roj udtay hue dekha hai.......
pyaar main duby huo ko roz apno ki bali chadaty hue dekha hai.........
mainy zindagi ko bahut kareeb sy dekha hai or jisy maana tha bhagvaan usy  insaan banty hue dekha hai..............insaan banty hue dekha hai..............

शुक्रवार, 14 जून 2013

गुरुवार, 13 जून 2013

shikhar..........

Tum befikar rahna mujhe tumsy kuch nahi chahiye bus tumhara shikhar par naam chahiye...na dhyan na maan na tumsay baat karny ka adhikaar chahiye bus tumhaara shirsh par naam chahiye.........na zindagi main tumhari apni jagah na tum me apni ginti chahiye mujhe sirf or sirf tumhara uchaiyo par naam chahiye......so befikar rahna? 

गुरुवार, 30 मई 2013

SULAH

SOCHTI HU KHUD SY SULAH KAR LU OR JEENA SEEKH LU AAKHIR KAB TAK GHUT TI RAHUNGI OR ANUTAARIT PRASHANO K JAWAB KHUD KO DETI RAHUNGI ?
SOCHTI U KI AB MAAN JAU JO "TUMNY KAHA" TUMHARY PRATI APNI "AASTHA" KO KONY MAIN EK TARAF RAKH MAAN LU JO "TUMNY KIYA" AAKHIR KAB TAK MAN KO BAHLATI RAHUNGI!
SHAYAD YE MAANNY K BAAD JEENA SARAL HO JAYE IS SEELN BHARE KAMRY MAIN TAAZI HAWA OR ROSHNI KI EK KIRAN AAYE ? TO CHALO MAIN MAAN LETI HU KI "MAIN TUMHARI KI NAHI"______KUCH BHI NAHI!

सोमवार, 20 मई 2013

sambandho ka samikaran................

Apny banaye sambandho ky samikaran ky aagan main,main aaj akeli hu........kabhi mery aas-pass mela laga karta or aaj tanha hu saari cahel-pahal gayab hai! yaha aa gai hu ya u samgho nikali gayi hu.........rishte sunnay main kitny acche n sacchy lagty hai na? par unhein nibhana sahejana utna hi mushkil hai....rishtey chahy khun k ho ya aatma k unky prati emandari or paardarshita rakhna sahi hota hai.......paardarshi isliye ki sambandho ki satah saaf dikhe or emandari isliye ki sambandh suljhe hue rahy.ek nayi shuruaat ho rahi hai rishto ki ,janti hu ab koi rishta nahi bana/nibha paungi saari dhundh hat gai hai...mujhe to abhi tak saath rahkar sambandho ki jady khodany waly hi mily hai..........so nahi ab or koi rishta nahi?